Jurat Qalandar Bakhsh

guzar is hujra-e-gardun se ho kidhar apna

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
guzar is hujra-e-gardūñ se ho kīdhar apnā
qaid-ḳhāna hai ajab gumbad-e-be-dar apnā
shakl rahne kī hai bastī meñ ye us bin apnī
jaise jañgal meñ banātā hai koī ghar apnā
shab kī be-tābiyāñ kyā kahiye ki dekhā jo sahar
TukḌe TukḌe nazar aayā hameñ bistar apnā
ham-nashīñ us ko jo laanā hai to lā jald ki ham
thāme baiThe raheñ kab tak dil-e-muztar apnā
vo ga.e din ki sadā mai-kada-e-hastī meñ
bāda-e-aish se labrez thā sāġhar apnā
tāb-e-nazzāra tirī laa.e na ḳhurshīd zarā
haath jab tak ki na rakh le vo jabīñ par apnā
deñge sar ishq ke saude meñ agarche ham ko
is meñ nuqsāñ nazar aatā hai sarāsar apnā
hai zamīñ ḳhuub ġhazal-dar-ġhazal is ko kahiye
bas ki ma.amūl hai 'jur.at' yahī akasr apnā
Top Urdushayar.com