kaun  dekhegā  bhalā  is  meñ  hai  rusvā.ī  kyā
ḳhvāb  meñ  aane  kī  bhī  tum  ne  qasam  khaa.ī  kyā
us  kā  ghar  chhoḌ  ke  ham  to  na  kisī  dar  pe  ga.e
par  samajhtā  hai  use  vo  but-e-harjā.ī  kyā
sunte  hī  jis  ke  huī  jaan  havā  tan  se  mire
is  galī  se  ye  ḳhabar  bād-e-sabā  laa.ī  kyā
vaah  maiñ  aur  na  aane  ko  kahūñgā  tauba
maiñ  to  hairāñ  huuñ  ye  baat  aap  ne  farmā.ī  kyā
bah  chalā  chashm  se  yakbār  jo  ik  dariyā  sā
baiThe  baiThe  mujhe  kyā  jaane  ye  lahr  aa.ī  kyā
harf-e-matlab  ko  mire  sun  ke  ba-sad-nāz  kahā
ham  samajhte  nahīñ  baktā  hai  to  saudā.ī  kyā
shaiḳh-jī  ham  to  haiñ  nādāñ  par  use  aane  do
ham  bhī  pūchheñge  huī  aap  kī  dānā.ī  kyā
kaifiyat  mahfil-e-ḳhūbāñ  kī  na  us  bin  pūchho
us  ko  dekhūñ  na  to  phir  de  mujhe  dikhlā.ī  kyā
aaj  dam  apnā  Thahartā  nahīñ  kyā  jāniye  aah
maslahat  logoñ  ne  vaañ  baiTh  ke  Thahrā.ī  kyā
bar  meñ  vo  shoḳh  thā  aur  sair-e-shab-e-māh  thī  raat
apne  ghar  kyā  kaheñ  thī  anjuman-ārā.ī  kyā
par  gayā  sub.h  se  vo  ghar  to  yahī  dhaḌkā  hai
dekheñ  aaj  us  kā  evaz  le  shab-e-tanhā.ī  kyā
dekhne  kā  jo  karūñ  us  ke  maiñ  da.avā  'jur.at'
mujh  meñ  jur.at  ye  kahāñ  aur  mirī  bīnā.ī  kyā