tirī  nigāh-e-talattuf  ne  faiz  aam  kiyā
ḳhirad  ke  shahr  ke  sab  vahshiyoñ  kuuñ  raam  kiyā
agarche  tīr-e-palak  ne  kiyā  thā  dil  barmā
vale  nigāh  ke  ḳhanjar  ne  ḳhuub  kaam  kiyā
tire  salām  ke  dhaj  dekh  kar  mire  dil  ne
shitāb  aa  ki  mujhe  ruḳhsatī  salām  kiyā
na  jānūñ  ishq  kī  bijlī  kidhar  siiñ  aa.ī  hai
ki  mujh  jigar  ke  khule  kuuñ  jalā  tamām  kiyā
usī  ke  haath  meñ  hai  ḳhātam-e-sulaimānī
nagīn-e-dil  pe  jo  naqsh  us  sanam  kā  naam  kiyā
mujhe  nigāh-e-taġhāful  raqīb  par  altāf
adā-e-maslahat-āmez  ne  ġhulām  kiyā
ai  āftāb  tirī  zulmat-e-judā.ī  meñ
'sirāj'  āh-e-sahar  kuuñ  charāġh-e-shām  kiyā