jab  maiñ  ne  kahā  ai  but-e-ḳhud-kām  vare  aa
tab  kahne  lagā  ''chal  be  o  bad-nām  pare  jaa''
hai  sub.h  se  āshiq  kā  tire  haal  nipaT  tañg
ma.alūm  ye  hotā  hai  ki  tā-shām  maregā
nāseh  mire  rone  kā  na  maan.e  ho  ki  āshiq
gar  ye  na  kare  kaam  to  phir  kaam  kare  kyā
aatā  hai  gar  is  abr  meñ  ai  sāqī-e-gulfām
to  bāda-e-gul-rañg  se  tū  jaam  bhare  lā
yaañ  ziist  kā  ḳhatra  nahīñ  haañ  khīñchiye  talvār
vo  ġhair  thā  jo  dekh  ke  samsām  Dare  thā
maiñ  ne  jo  kahā  ek  to  bosa  tū  mujhe  de
bolā  vo  ''zabāñ  apnī  ko  tū  thaam  are  hā!''
gar  dīda-o-dil  farsh  karūñ  raah  meñ  'jur.at'
mumkin  hī  nahīñ  jo  vo  dil-ārām  dhare  pā