Jurat Qalandar Bakhsh

tan mein dam rok main ba der rakha

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
tan meñ dam rok maiñ ba der rakhā
aao jī kis ne tum ko gher rakhā
ham ga.e vaañ to yaañ vo aayā vaah
ḳhuub qismat ne her-pher rakhā
kar gayā vo hī rāh-e-ishq ko tai
yaañ qadam jis ne ho diler rakhā
sab ko aajiz kiyā falak ne par ek
āhū-e-dil pe ġham ko sher rakhā
jā ke baiThe jo kū-e-yār meñ ham
vaañ se bāhar qadam na pher rakhā
ba.ad muddat vo dekh kar bolā
kis ne yaañ ḳhaak kā ye Dher rakhā
shukr ai dard-e-ishq tū ne sadā
zindagānī se ham ko ser rakhā
kaisā ghabrā gayā vo kal ham ne
Tuk jo raste meñ us ko gher rakhā
ḳhair ho yā ilāhī 'jur.at' ne
āshiqī meñ qadam ko pher rakhā
Top Urdushayar.com