sanam  hazār  huā  to  vahī  sanam  kā  sanam
ki  asl  hastī-e-nābūd  hai  adam  kā  adam
isī  jahān  meñ  goyā  mujhe  bahisht  milī
agar  rakhoge  mire  par  yahī  karam  kā  karam
abhī  to  tum  ne  kiye  the  hamārī  jāñ-baḳhshī
phir  ek  dam  meñ  vahī  nīmchā  alam  kā  alam
vo  gul-badan  kā  ajab  hai  mizāj-e-rañgā-rañg
fajar  kuuñ  lutf  to  phir  shaam  kuuñ  sitam  kā  sitam
na  rakh  'sirāj'  kisī  ḳhūb-rū  señ  chashm-e-vafā
sanam  hazār  huā  to  vahī  sanam  kā  sanam