Jurat Qalandar Bakhsh

na garmi rakhe koi us se KHudaya

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
na garmī rakhe koī us se ḳhudāyā
sharārat se jī jis ne merā jalāyā
na bechain ho koī ab us kī ḳhātir
mirā chāhnā jo na ḳhātir meñ laayā
baham dekh do shaḳhs ho vo bhī muztar
akelā maiñ jis ke liye tilmilāyā
phire justujū meñ na ab koī us kī
mujhe jis ne galiyoñ meñ barsoñ phirāyā
na bhūle se yaad ab kare koī us ko
mirā yaad karnā bhī jis ne bhulāyā
na ḳhush ho ab us paas baiThe se koī
hameñ kar ke āzurda jis ne uThāyā
ḳharīdār paidā na ho koī us kā
ki dil bech kar ham ne dukh jis se paayā
tahayyur ho dekh ā.īna us ko jis ne
hameñ kar ke hairāñ na mukhḌā dikhāyā
lage laag us se kisī kī na yā-rab
hamārī lagī ko na jis ne bujhāyā
kahūñ dāstāñ maiñ gar apnī aur us kī
to hairān ho sun ke apnā parāyā
ki pahle kī iz.hār ḳhud us ne ulfat
na aayā to sau baar ghar se bulāyā
jatā.īñ vo bāteñ jinheñ sehr kahiye
dikhāyā vo aalam ki vahshī banāyā
rakhī be-takalluf mulāqāt chande
ba-mannat mujhe paas pahroñ biThāyā
kisī kā na ik harf ḳhātir meñ guzrā
use garche logoñ ne kyā kyā paḌhāyā
so ab vo jhalak tak dikhātā nahīñ hai
gayā maiñ jo ghar se to dar tak na aayā
lagāvaT ye kuchh kar ke phir kyā ġhazab hai
mirā lag gayā dil to parda lagāyā
ba-taġh.īr-e-bahr aur 'jur.at' ġhazal kah
ki ye turfa mazmūn tū ne sunāyā
Top Urdushayar.com