sach  to  ye  hai  be-jagah  rabt  in  dinoñ  paidā  kiyā
soch  hai  har  dam  yahī  ham  ko  ki  ham  ne  kyā  kiyā
vo  gayā  uTh  kar  jidhar  ko  maiñ  adhar  hairān  sā
us  ke  jaane  par  bhī  kitnī  der  tak  dekhā  kiyā
merī  aur  us  shoḳh  kī  sāhib-salāmat  jo  huī
sabr  o  tāqat  ne  kahā  lo  ham  ne  to  mujrā  kiyā
sair-e-gul  kartā  thā  vo  aur  aah  betābī  se  maiñ
har  taraf  gulshan  meñ  juuñ  āb-e-ravāñ  dauḌā  kiyā
jab  talak  karte  rahe  mazkūra  us  kā  mujh  se  log
jī  meñ  kuchh  sochā  kiyā  maiñ  aur  dil  dhaḌkā  kiyā
dard-e-dil  kahnā  mirā  shāyad  ki  us  ne  sun  liyā
varna  kyuuñ  mujh  ko  dharātā  hai  bhalā  achchhā  kiyā
dam-ba-dam  hasrat  se  dekhūñ  kyuuñ  na  sū-e-charḳh  maiñ
us  ne  auroñ  kā  kiyā  us  ko  hameñ  jis  kā  kiyā
dil  mile  par  bhī  milāp  aisī  jagah  hote  rahe
jo  idhar  taḌpā  kiye  ham  vo  udhar  taḌpā  kiyā
mil  ga.e  the  ek  baar  us  ke  jo  mere  lab  se  lab
umr  bhar  hoñToñ  pe  apne  maiñ  zabāñ  pherā  kiyā
bas  ki  hai  vo  shohra-e-āfāq  us  ke  vāste
ye  dil-e-dīvāna  kis  kis  shaḳhs  se  jhagḌā  kiyā
sozish-e-dil  kyā  kahūñ  maiñ  jab  talak  jiitā  rahā
ek  añgārā  sā  pahlū  meñ  mire  dahkā  kiyā
ishq-bāzī  meñ  kahā  'jur.at'  ko  sab  ne  dekh  kar
ye  aziiz  apnī  hamesha  jaan  par  khelā  kiyā