dildār  kī  kashish  ne  aiñchā  hai  man  hamārā
hai  ḳhaak  is  qadam  kī  shāyad  vatan  hamārā
ai  dostān-e-jānī  dil  siiñ  karo  tavajjoh
tā-jān  paas  apne  pahuñche  badan  hamārā
gar  zindagī  hai  baaqī  phir  tum  siiñ  aa  mileñge
dīdār  āḳhirī  hai  jo  hai  maran  hamārā
daryā-e-mudda.ā  kā  laa.e  haiñ  thaah  jab  siiñ
har  buuñd  ashk  kā  hai  durr-e-adan  hamārā
darkār  nahīñ  hai  pahreñ  bar  meñ  qabā-e-zīnat
ye  bas  hai  ḳhāksārī  ḳhākī  baran  hamārā
sab  chhoḌ  ḳhānumā  kuuñ  haiñ  us  kī  justujū  meñ
hai  dasht  aur  bayābāñ  bāġh-o-chaman  hamārā
mānind-e-kohkan  hai  be-kal  'sirāj'  kā  dil
shāyad  ki  maan  leve  shīrīñ-suḳhan  hamārā