Fazl Lakhnavi

rang aur rup mein sone se khari hoti hai

Fazl Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1913-1991
rañg aur ruup meñ sone se kharī hotī hai
dil kī vo rag jo mohabbat se bharī hotī hai
āshiyāne ko panapne nahīñ detī duniyā
barq gir paḌtī hai jab shāḳh harī hotī hai
jheñp jaatā hai chaTaktī huī kaliyoñ kā shabāb
mast āñkhoñ meñ agar niiñd bharī hotī hai
ashk barsātī huī aatī hai gulshan meñ bahār
phuul khilte haiñ to shabnam kī tarī hotī hai
arsh-o-kursī-o-falak dair-o-haram ka.aba-e-dil
phir bhī mahdūd tirī jalvagarī hotī hai
kahkashāñ dekhtī hai us kī tajallī kā nikhār
jis kī añgḌā.ī meñ jādū-asarī hotī hai
din ko gar dhuup kī chādar meñ sukūñ miltā hai
raat ab ḳhatm charāġh-e-saharī hotī hai
yaad aa jaatī hai ḳhud apnī nikhartī tauba
jaam meñ jab mai-e-ḳhush-rañg bharī hotī hai
chāhe lafzoñ meñ kahe chāhe ishāroñ se kahe
'fazl' jo baat bhī kahtā hai kharī hotī hai
Top Urdushayar.com