havas  kī  aañkh  siiñ  vo  chehra-e-raushan  na  dekhoge
to  chehra  to  kahāñ  pan-gosha-e-dāman  na  dekhoge
chhupāte  ho  so  bejā  us  jamāl-e-hairat-afzā  kuuñ
mirī  āñkhoñ  siiñ  dekhoge  to  phir  darpan  na  dekhoge
agar  us  ḳhush-dahan  ke  lab  pe  dekho  rañg  missī  kā
to  phir  zinhār  barg-e-ġhuncha-e-sosan  na  dekhoge
agar  dekhoge  aks  us  ḳhat  kā  merī  chashm-e-giryāñ  meñ
lab-e-jū  par  bahār-e-sabza-e-gulshan  na  dekhoge
'sirāj'  apne  siiñ  kyuuñ  visvās  hai  ai  sham.a-rū  tum  kuuñ
kisī  āshiq  kuuñ  tum  māshūq  kā  dushman  na  dekhoge