kabhī  tum  mol  lene  ham  kuuñ  hañs  hañs  bhaav  karte  ho
kabhī  tīr-e-nigāh-e-tund  kā  barsāv  karte  ho
kabhī  tum  sard  karte  ho  diloñ  kī  aag  garmī  siiñ
kabhī  tum  sard-mehrī  siiñ  jhaTak  kar  baav  karte  ho
kabhī  tum  saaf  karte  ho  mire  dil  kī  kudūrat  kuuñ
kabhī  tum  be-sabab  tevrī  chaḌhā  kar  taav  karte  ho
kabhī  tum  mom  ho  jaate  ho  jab  maiñ  garm  hotā  huuñ
kabhī  maiñ  sard  hotā  huuñ  to  tum  bhaḌkāv  karte  ho
kabhī  lā  lā  mujhe  dete  ho  apne  haat  siiñ  pyālā
kabhī  tum  shīsha-e-dil  par  mire  pathrāv  karte  ho
kabhī  tum  dhuul  uḌāte  ho  mirī  ġhusse  siiñ  rūkhe  ho
kabhī  muñh  par  hayā  kā  lā  araq  chhiḌkāv  karte  ho
kabhī  ḳhush  ho  ke  karte  ho  'sirāj'  apne  kī  jāñ-baḳhshī
kabhī  us  ke  bujhā  dene  kuuñ  kyā  kyā  daav  karte  ho