sanam  jab  chīra-e-zar-tār  bāñdhe
jhalak  siiñ  kūcha-o-bāzār  bāñdhe
hazāroñ  teġh-bandoñ  kuuñ  kare  qatl
ḳham-e-abru  kī  jab  talvār  bāñdhe
jo  dekhe  ek-dam  zāhid  tirī  zulf
gale  meñ  zohd  kā  zunnār  bāñdhe
talab  ke  uqda-e-mushkil  kuuñ  khole
jo  koshish  kī  kamar  yakbār  bāñdhe
jo  kui  ġham  kā  hisār-e-qalb  chāhe
ġhubār-e-āh  siiñ  dīvār  bāñdhe
jo  dekhe  gul-ruḳhoñ  ko  ko  lā-ubālī
bajā  hai  gar  lab-e-iz.hār  bāñdhe
'sirāj'  āñkheñ  kiyā  hai  ġhair  siiñ  band
ki  tā  dil  meñ  ḳhayāl-e-yār  bāñdhe