sarv-e-gulshan  par  suḳhan  us  qad  kā  baalā  ho  gayā
har  nihāl  is  sharm  siiñ  jañgal  kā  paalā  ho  gayā
aavtā  hai  ye  bahā  ho  aañkh  señ  dāman  talak
tifl-e-ashk  is  āj-kal  meñ  kyā  jvālā  ho  gayā
jab  siiñ  us  almās  kī  pahuñchī  kā  hai  aañsū  meñ  aks
tab  siiñ  har  tār-e-falak  hīroñ  kā  maalā  ho  gayā
dil  jigar  kī  phakaḌiyāñ  aahoñ  ke  tāroñ  meñ  piro
baiTh  kar  dokān-e-ġham  par  phuul  vaalā  ho  gayā
ashk-e-bārāñ  aah  bijlī  ashk  kī  kaalī  ghaTā
māh-rū  ban  kis  tarah  kā  barshgālā  ho  gayā
baaġh  meñ  sarmā  thā  aur  thī  yād-e-dildār-e-do-rañg
mujh  kuuñ  har  barg-e-gul-e-ra.anā  doshālā  ho  gayā
niiñd  siiñ  khul  ga.iiñ  mirī  āñkheñ  so  dekhā  yaar  kuuñ
yā  añdhārā  is  qadar  thā  yā  ujālā  ho  gayā
hijr  kī  maTh  meñ  tasavvur  us  ġhazālī  chashm  kā
ishq  ke  bairāgiyoñ  ko  mirg-chhālā  ho  gayā
bhar  rahā  hai  bas  ki  dūd-e-āh  merā  ai  'sirāj'
āsmāñ  jiyūñ  parda-e-fānūs  kaalā  ho  gayā