Tahir Azeem

har dard ki dawa bhi zaruri nahin ki ho

Tahir Azeem

Makran, Balochistan, Pakistan

1978
har dard kī davā bhī zarūrī nahīñ ki ho
mere liye zarā bhī zarūrī nahīñ ki ho
rahtā hai zehn o dil meñ jo ehsās kī tarah
us kā koī patā bhī zarūrī nahīñ ki ho
insān se milo bhī to insān jaan kar
har shaḳhs devtā bhī zarūrī nahīñ ki ho
kis ne tumheñ zabān atā kī ki aaj tum
kahte ho jo ḳhudā bhī zarūrī nahīñ ki ho
qaa.em 'azīm' us kī razā se hai zindagī
is meñ mirī razā bhī zarūrī nahīñ ki ho
Top Urdushayar.com