ik  vahshat  sī  dar  aa.ī  hai  āñkhoñ  meñ
apnī  sūrat  dhundlā.ī  hai  āñkhoñ  meñ
aaj  chaman  kā  haal  na  pūchho  ham-nafaso
aaj  ḳhizāñ  kī  rut  aa.ī  hai  āñkhoñ  meñ
barsoñ  pahle  jis  dariyā  meñ  utrā  thā
ab  tak  us  kī  gahrā.ī  hai  āñkhoñ  meñ
in  bātoñ  par  mat  jaanā  jo  aam  huiiñ
dekho  kitnī  sachchā.ī  hai  āñkhoñ  meñ
in  meñ  ab  bhī  harf-e-mohabbat  bastā  hai
isī  liye  to  gahrā.ī  hai  āñkhoñ  meñ
haath  pakaḌ  kar  jis  kā  chalnā  sīkhā  hai
us  ke  naam  kī  bīnā.ī  hai  āñkhoñ  meñ
dhuup  'azīm'  ab  phailī  hai  jo  shiddat  se
to  saa.e  kī  ra.anā.ī  hai  āñkhoñ  meñ