maiñ  us  kī  mohabbat  se  ik  din  bhī  mukar  jaatā
kuchh  aur  nahīñ  hotā  is  dil  se  utar  jaatā
jis  shaam  giraftārī  qismat  meñ  mirī  aa.ī
us  shaam  kī  lazzat  se  maiñ  aur  bikhar  jaatā
ḳhushbū  ke  ta.āqub  ne  zanjīr  kiyā  mujh  ko
varna  to  yahāñ  se  maiñ  chup-chāp  guzar  jaatā
āvāz  samā.at  tak  pahuñchī  hī  nahīñ  shāyad
vo  varna  tasallī  ko  kuchh  der  Thahar  jaatā
zehnoñ  ke  marāsim  the  ik  saath  bhī  ho  jaate
ik  raah  agar  koī  dīvār  meñ  kar  jaatā
tāsīr  nahīñ  rahtī  alfāz  kī  bandish  meñ
maiñ  sach  jo  nahīñ  kahtā  lahje  kā  asar  jaatā
ab  tere  bichhaḌne  se  ye  baat  khulī  mujh  par
to  jaan  agar  hotā  maiñ  jaañ  se  guzar  jaatā
dil  ham  ne  'azīm'  apnā  āseb-zada  rakkhā
jo  ḳhvāb  janm  letā  vo  ḳhauf  se  mar  jaatā