Siraj Aurangabadi

mujh sin gham dast-o-gareban na hua tha so hua

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
mujh siiñ ġham dast-o-garebāñ na huā thā so huā
chaak siine kā numāyāñ na huā thā so huā
ab talak mujh kuuñ kisī shaḳhs ke chehra kā ḳhayāl
sūrat-e-ā.ina-e-jāñ na huā thā so huā
saf-e-ushshāq meñ koī sānī-e-majnūñ mujh sā
vahshī-e-koh-o-bayābāñ na huā thā so huā
ashk ole ho baraste haiñ mire dāman meñ
ye varaq nuqra-e-afshāñ na huā thā so huā
ḳhanjar-e-ishq ne ehsān kiyā sar pe mire
jaan kandan kabhī āsāñ na huā thā so huā
qibla-rū rahm kiyā mujh pe ḳhat-āġhāzī meñ
kāfir-e-hind musalmāñ na huā thā so huā
āh-e-sozāñ siiñ mire dāman-e-sahrā meñ 'sirāj'
qabr-e-majnūñ pe charāġhāñ na huā thā so huā
Top Urdushayar.com