mujh  siiñ  ġham  dast-o-garebāñ  na  huā  thā  so  huā
chaak  siine  kā  numāyāñ  na  huā  thā  so  huā
ab  talak  mujh  kuuñ  kisī  shaḳhs  ke  chehra  kā  ḳhayāl
sūrat-e-ā.ina-e-jāñ  na  huā  thā  so  huā
saf-e-ushshāq  meñ  koī  sānī-e-majnūñ  mujh  sā
vahshī-e-koh-o-bayābāñ  na  huā  thā  so  huā
ashk  ole  ho  baraste  haiñ  mire  dāman  meñ
ye  varaq  nuqra-e-afshāñ  na  huā  thā  so  huā
ḳhanjar-e-ishq  ne  ehsān  kiyā  sar  pe  mire
jaan  kandan  kabhī  āsāñ  na  huā  thā  so  huā
qibla-rū  rahm  kiyā  mujh  pe  ḳhat-āġhāzī  meñ
kāfir-e-hind  musalmāñ  na  huā  thā  so  huā
āh-e-sozāñ  siiñ  mire  dāman-e-sahrā  meñ  'sirāj'
qabr-e-majnūñ  pe  charāġhāñ  na  huā  thā  so  huā