Siraj Aurangabadi

sune raaton kun gar jangal mein mere gham ki wawaila

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
sune rātoñ kuuñ gar jañgal meñ mere ġham kī vāvailā
to majnūñ qabr señ uTh kar pukāre aah yā lailā
hamārā ḳhūn-e-nāhaq niiñ huā zaa.e.a are qātil
zamīñ se gul ho niklā āsmāñ par ho shafaq phailā
hiran sab haiñ barātī aur divāna ban kā dūlhā hai
ba-har ḳhil.at kuuñ uryānī kī phirtā hai banā chhailā
sharāb-e-sāf de tā saaf ho saaqī ġhubār-e-ġham
hamārā dil nipaT gard-e-kudūrat se hai ab mailā
'sirāj' us shola-rū kī tañg poshī kuuñ kahāñ pahuñche
ki hai jaama badan meñ sham.a ke fānūs kā Dhailā
Top Urdushayar.com