Zulfiqar Ali Bukhari

basai maine jo qalb-e-hazin mein

Zulfiqar Ali Bukhari

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1904-1975
basā.ī maiñ ne jo qalb-e-hazīñ meñ
vo duniyā kaam aa.ī kār-e-dīñ meñ
vahī hai asal meñ jān-e-tamannā
jo hasrat hai nigāh-e-vāpsīñ meñ
tire shauq-e-sarāpā kī kashish hai
simaT aayā huuñ maiñ apnī jabīñ meñ
hai pech-o-tāb meñ har mauj-e-sāhil
vo betābī hai mauj-e-tah-nashīñ meñ
haqīqat hai ki ho tum jān-e-ḳhūbī
ki ḳhūbī hai vatan kī sar-zamīñ meñ
mohabbat hai ki vo aks-e-masarrat
utar aayā mire qalb-e-hazīñ meñ
junūñ ke raaj meñ insāf hogā
na hogā farq jeb o āstīñ meñ
bahut kuchh pāoge duniyā meñ pyāre
mohabbat pāoge lekin hamīñ meñ
'buḳhārī' kī taḌap 'hāfiz' kī mastī
tumhāre naġhma-e-vajd-āfrīñ meñ
Top Urdushayar.com