tumhārī  zulf  kā  har  taar  mohan
huā  mere  gale  kā  haar  mohan
tasavvur  kar  tirā  husn-e-araq-nāk
mirī  āñkheñ  haiñ  gauhar-bār  mohan
dam-e-āḳhir  talak  huuñ  kāfir-e-ishq
huā  tār-e-nafas  zunnār  mohan
birah  kā  jaan  kundan  hai  nipaT  saḳht
dikhā  is  vaqt  par  dīdār  mohan
hamāre  mus.haf-e-dil  kī  qasam  khā
kiyā  hai  zulm  kā  inkār  mohan
gul-e-āriz  kuuñ  tere  yaad  kar  kar
huā  hai  dil  mirā  gulzār  mohan
'sirāj'  ātish  meñ  hai  tere  firāqoñ
bujhā  jā  mahr  siiñ  yak  baar  mohan