qadmoñ  meñ  jab  se  mere  haiñ  taare  dhare  hue
saare  adū  haiñ  ghar  meñ  bichāre  dhare  hue
achchhā  to  Thiik  hai  mujhe  chalnā  usī  pe  hai
rasta  ki  jis  pe  hoñge  ḳhasāre  dhare  hue
taarī  hai  mauj  mauj  pe  kuchh  is  liye  bhī  ḳhauf
aayā  huuñ  rauñd  kar  maiñ  kināre  dhare  hue
ik  jañg  thī  hamārī  jise  jītne  ke  ba.ad
palkoñ  pe  kyuuñ  the  us  ke  ishāre  dhare  hue
un  se  havā  pe  naqsh  huī  naġhmagī  'naved'
jitne  bhī  the  charāġh  hamāre  dhare  hue