dekho  kabhī  tum  us  kā  bhī  aanā  mire  aage
jis  kā  na  chale  koī  bahāna  mire  aage
raste  meñ  use  duuñ  ki  nahīñ  duuñ  ye  batāo
sūraj  mire  pīchhe  hai  zamāna  mire  aage
vo  shaḳhs  jise  qais  batāte  haiñ  sabhī  log
ab  vaqt  nahīñ  phir  kabhī  laanā  mire  aage
achchhā  ye  sitam  mujh  ko  charāġhoñ  kā  lagā  hai
har  shaam  tirā  aks  sajānā  mire  aage
laatā  hai  mujhe  khīñch  ke  sahrā  bhī  shab-o-roz
vahshat  bhī  pirotī  hai  fasāna  mire  aage