tirī  zulf  zunnār  kā  taar  hai
ki  jis  taar  meñ  dil  giraftār  hai
karishme  ke  lashkar  meñ  vo  shāh-e-husn
saf-e-ḳhūb-rūyāñ  kā  sardār  hai
talattuf  siiñ  pūchhegā  kab  dard-e-dil
sitam-gar  hai  sarkash  hai  ayyār  hai
jise  dil-ḳharāshī  nahīñ  ishq  kī
tarīq-e-mohabbat  meñ  be-kār  hai
sajan  lutf  kar  nargis-e-bāġh  par
tirī  chashm-e-mai-gūñ  kā  bīmār  hai
shifā  de  mujhe  marham-e-vasl  suuñ
jigar  par  mire  hijr  kā  vaar  hai
shab-e-hijr  meñ  gul-badan  ke  'sirāj'
nazar  meñ  mirī  sham.a  jiyūñ  ḳhaar  hai