kyā  dāstāñ  thī  pahle  bayāñ  hī  nahīñ  huī
phir  yuuñ  huā  ki  sub.h  azaañ  hī  nahīñ  huī
duniyā  ki  dāshta  se  zyāda  na  thī  mujhe
yuuñ  saarī  umr  fikr-e-ziyāñ  hī  nahīñ  huī
gul-hā-e-lutf  kā  use  ambār  karnā  thā
kam-baḳht  aarzū  ki  javāñ  hī  nahīñ  huī
tā-sub.h  merī  laash  rahī  be-kafan  to  kyā
bānū-e-shām  nauha-kunāñ  hī  nahīñ  huī