vīrāñ  bahut  hai  ḳhvāb-mahal  jāgte  raho
ham-sā.e  meñ  khaḌī  hai  ajal  jāgte  raho
jis  par  nisār  nargis-e-shahlā  kī  tamkenat
vo  aañkh  is  ghaḌī  hai  sajal  jāgte  raho
ye  lamha-e-umīd  bhī  hai  vaqt-e-ḳhauf  bhī
hāsil  na  hogā  is  kā  badal  jāgte  raho
jin  bāzuoñ  pe  chāragarī  kā  madār  thā
vo  to  kabhī  ke  ho  ga.e  shal  jāgte  raho
zehnoñ  meñ  thā  irāda-e-shab-ḳhūn  kal  talak
ab  ho  rahā  hai  rū-ba-amal  jāgte  raho
jis  raat  meñ  na  hijr  ho  ne  vasl  'ajmalī'
us  raat  meñ  kahāñ  kī  ġhazal  jāgte  raho