samundaroñ  meñ  sarāb  aur  ḳhushkiyoñ  meñ  girdāb  dekhtā  hai
vo  jāgte  aur  raah  chalte  ajab  ajab  ḳhvāb  dekhtā  hai
kabhī  to  rishtoñ  ko  ḳhuun  ke  bhī  fareb-e-vahm-o-gumān  samjhā
kabhī  vo  narġhe  meñ  dushmanoñ  ke  hujūm-e-ahbāb  dekhtā  hai
shanāvarī  raas  aa.e  aisī  samundaroñ  meñ  hī  ghar  banā  le
kabhī  talāsh-e-guhar  meñ  apne  ta.iiñ  vo  ġharqāb  dekhtā  hai
kabhī  taqaddus-e-tavāf  kā  sā  kare  hai  taarī  vo  jism  o  jaañ  par
saroñ  pe  girtā  huā  kabhī  lānatoñ  kā  mīzāb  dekhtā  hai