jhukā  ke  sar  ko  chalnā  jis  jagah  kā  qā.eda  thā
mire  sar  kī  bulandī  se  vahāñ  mahshar  bapā  thā
qusūr-e-be-ḳhudī  meñ  jis  ko  suulī  dī  ga.ī  hai
hamāre  hī  qabīle  kā  vo  tanhā  sar-phirā  thā
use  jis  shab  madhur  āvāz  meñ  gaanā  thā  lāzim
rivāyat  hai  ki  us  shab  bhī  parinda  chup  rahā  thā
farishte  dam-ba-ḳhud  ḳhā.if  sarāsīma  fazā  thī
Hujūm-e-gumrahāñ  thā  aur  ḳhudā  kā  sāmnā  thā
musāfir  jis  ke  rukne  kī  tavaqqo  thī  zyāda
na  jaane  kyuuñ  bahut  jaldī  safar  par  chal  diyā  thā