charāġh-e-mah  siiñ  raushan-tar  hai  husn-e-be-misāl  us  kā
ki  chauthe  charḳh  par  ḳhurshīd  hai  aks-e-jamāl  us  kā
sanam  kī  zulf  ke  halqe  meñ  hai  jyuuñ  jiim  kā  nuqta
ajab  hai  ḳhush-numā  us  āriz-e-gulgūñ  pe  ḳhaal  us  kā
ayaañ  hotā  hai  jyūñ-kar  sarv  paanī  ke  kināre  par
huā  yuuñ  jalva-gar  āñkhoñ  meñ  qadd-e-naunihāl  us  kā
judā  jab  siiñ  huā  vo  dilbar-e-jādū-nazar  mujh  siiñ
judā  hotā  nahīñ  yak  aan  ḳhātir  siiñ  ḳhayāl  us  kā
mujhe  hai  aarzū  dil  meñ  tirī  chāh-e-zanaḳhdāñ  kī
nahīñ  darkār  hauz-e-kausar  o  āb-e-zulāl  us  kā
giraftār-e-havas  kyā  lazzat-e-dīdār  kuuñ  paave
judā  jo  kuī  huā  hai  aap  siiñ  paayā  visāl  us  kā
'sirāj'  ai  shola-rū  hai  kaun  sā  so  maiñ  nahīñ  vāqif
mujhe  kyā  pūchhtā  hai  pūchh  parvāne  siiñ  haal  us  kā