hai  dard  meñ  Duubī  huī  tahrīr  kī  āvāz
vijdān  ko  chhū  letī  hai  tasvīr  kī  āvāz
tanhā.ī  meñ  āñkhoñ  se  nikal  aate  haiñ  aañsū
goyā  hai  fazā  meñ  kisī  dil-gīr  kī  āvāz
dīvāna-e-hastī  ke  liye  ek  haiñ  donoñ
pāzeb  kī  jhankār  ki  shamshīr  kī  āvāz
yaad  aayā  hai  jab  sāneha  zindān-e-balā  kā
ubhrī  dar-o-dīvār  se  zanjīr  kī  āvāz
lag  jaatī  hai  jab  rāh-e-pur-asrār  meñ  Thokar
ham  us  ko  samajh  lete  haiñ  taqdīr  kī  āvāz
taḳhrīb-pasandoñ  ne  vo  tūfān  uThāyā
is  shor  meñ  kho  jaa.e  na  ta.amīr  kī  āvāz
naġhmoñ  kā  asar  hotā  hai  arbāb-e-tarab  par
'nāzir'  ko  rulā  detī  hai  zanjīr  kī  āvāz