muskurā  kar  āshiqoñ  par  mehrbānī  kījiye
bulbuloñ  kī  pās-e-ḳhātir  gul-fishānī  kījiye
ishq  ne  az-bas  diyā  hai  zard-rañgī  kā  rivāj
arġhuvānī  āñsuoñ  kuuñ  zāfrānī  kījiye
mai-kash-e-ġham  kuuñ  shab-e-mahtāb  hai  mū-e-safed
mausam-e-pīrī  meñ  sāmān-e-javānī  kījiye
hijr  kī  rātoñ  meñ  lāzim  hai  bayān-e-zulf-e-yār
niind  to  jaatī  rahī  hai  qissa-ḳhvānī  kījiye
yār-e-jānī  to  zamāne  meñ  nipaT  kam-yāb  haiñ
kījiye  dushman  agar  apnā  to  jaanī  kījiye
mat  ho  ai  dil  tuuñ  sadā  bulbul  hazāroñ  phuul  kā
ek  baaqī  būjhiye  baaqī  kuuñ  faanī  kījiye
sab  samundar  muttafiq  ho  mujh  kuuñ  kahte  haiñ  'sirāj'
shola-rū  ke  vasf  meñ  ātish-bayānī  kījiye