vo  zulf  hai  to  harf-e-tatār-o-ḳhutan  ġhalat
is  lab  ke  hote  nām-e-aqīq-e-yaman  ġhalat
aayā  hai  jab  señ  baaġh  taraf  vo  kitāb-rū
tab  señ  huā  hai  safha-e-barg-e-saman  ġhalat
baiThe  suḳhan  meñ  va.ada-ḳhilāfī  kā  bol  kyuuñ
hargiz  nabol'  bol  ai  shīrīñ-dahan  ġhalat
Dartā  huuñ  us  bhavoñ  ke  ishārat  señ  dam-ba-dam
hotā  nahīñ  hai  saif-zubāñ  kā  suḳhan  ġhalat
raushan  hai  ai  'sirāj'  ki  faanī  hai  sab  jahāñ
mutrib  ġhalat  hai  jaam  ġhalat  anjuman  ġhalat