ruḳhsat-e-yār  kā  mazmūn  ba-mushkil  bāñdhā
dil  na  bañdhtā  thā  kisī  taur  baḌā  dil  bāñdhā
ham  ne  bhī  bāñdh  liyā  ziist  kā  asbāb  vahīñ
jab  sunā  yār-e-safar-dār  ne  mahmil  bāñdhā
ham  ne  us  chehre  ko  bāñdhā  nahīñ  mahtāb-misāl
ham  ne  mahtāb  ko  us  ruḳh  ke  mumāsil  bāñdhā
aur  kyā  bāñdhte  sāmāñ  meñ  ba-hañgām-e-safar
sirf  dāman  meñ  ḳhas-e-kūcha-e-qātil  bāñdhā
ham  jo  har  gaam  se  paimān-e-vafā  bāñdhte  the
āḳhirash  ham  ne  bhī  azm-e-sar-e-manzil  bāñdhā