rakh-rakhāv  meñ  koī  ḳhvār  nahīñ  hotā  yaar
dost  hote  haiñ,  har  ik  yaar  nahīñ  hotā  yaar
do  ghaḌī  baiTho  mire  paas,  kaho  kaisī  ho
do  ghaḌī  baiThne  se  pyaar  nahīñ  hotā  yaar
yaar!  ye  hijr  kā  ġham!  is  se  to  maut  achchhī  hai
jaañ  se  yuuñ  hī  koī  bezār  nahīñ  hotā  yaar
ruuh  suntī  hai  mohabbat  meñ  badan  bolte  haiñ
lafz  pairāya-e-iz.hār  nahīñ  hotā  yaar
naukrī,  shā.irī,  ghar-bār,  zamāna,  qadreñ
ik  mohabbat  hī  kā  āzār  nahīñ  hotā  yaar
ḳhush-dilī  aur  hai  aur  ishq  kā  āzār  kuchh  aur
pyaar  ho  jaa.e  to  iqrār  nahīñ  hotā  yaar
laḌkiyāñ  lafz  kī  tasvīr  chhupā  letī  haiñ
un  kā  iz.hār  bhī  iz.hār  nahīñ  hotā  yaar
aadmī  ishq  meñ  bhī  ḳhud  se  nahīñ  ghaT  saktā
aadmī  sāya-e-dīvār  nahīñ  hotā  yār!!
gher  letī  hai  koī  zulf,  koī  bū-e-badan
jaan  kar  koī  giraftār  nahīñ  hotā  yaar
yahī  ham  aap  haiñ  hastī  kī  kahānī,  is  meñ
koī  afsānvī  kirdār  nahīñ  hotā  yaar