koī  vajūd  hai  duniyā  meñ  koī  parchhā.īñ
so  har  koī  nahīñ  hotā  kisī  kī  parchhā.īñ
mire  vajūd  ko  maano  to  saath  chaltā  huuñ
ki  maiñ  to  ban  na  sakūñgā  tumhārī  parchhā.īñ
yahī  charāġh  hai  sab  kuchh  ki  dil  kaheñ  jis  ko
agar  ye  bujh  gayā  to  aadmī  bhī  parchhā.īñ
ka.ī  dinoñ  se  mire  saath  saath  chaltī  hai
koī  udaas  sī  ThanDī  sī  koī  parchhā.īñ
maiñ  apnā-āp  samajhtā  rahā  jise  tā-umr
vo  mere  jaisā  hayūlā  thā  merī  parchhā.īñ
na  ḳhush  ho  koī  bhī  tezī  se  baḌhtī  qāmat  par
pas-e-ġhurūb  na  hogī  bichārī  parchhā.īñ
gumān-e-hast  hai  hastī  kā  ā.īna-ḳhāna
so  apne-āp  ko  bhī  jaan  apnī  parchhā.īñ
maiñ  nisf  sach  kī  tarah  huuñ  bhī  aur  nahīñ  bhī  huuñ
ki  aadhā  jism  hai  merā  to  aadhī  parchhā.īñ
phir  us  se  us  ke  taġhāful  kā  kyā  gila  karnā
ki  'iftiḳhār-muġhal'  vo  to  thī  hī  parchhā.īñ