kabhī  kabhī  to  ye  hālat  bhī  kī  mohabbat  ne
niDhāl  kar  diyā  mujh  ko  tirī  mohabbat  ne
tirī  ye  pahlī  mohabbat  hai  tujh  ko  kyā  ma.alūm
ghulā  diyā  mujhe  is  āḳhirī  mohabbat  ne
vo  yuuñ  bhī  ḳhair  se  sarmā  kā  chāñd  thī  lekin
use  ujaal  diyā  aur  bhī  mohabbat  ne
mujhe  ḳhudā  ne  adhūrā  hī  chhoḌnā  thā  magar
mujhe  banā  diyā  ik  shaḳhs  kī  mohabbat  ne
ye  tum  jo  mere  liye  ḳhvāb  chhoḌ  aa.ī  ho
tumheñ  jagāyā  to  hogā  mirī  mohabbat  ne
maiñ  jis  ko  pahle  pahal  dil-lagī  samajhtā  thā
mujhe  to  maar  diyā  is  na.ī  mohabbat  ne
ye  apne  apne  nasīboñ  kī  baat  hai  varna
kisī  ko  'mīr'  banāyā  isī  mohabbat  ne
ye  jism-o-jān  ye  nām-o-numūd  hasb-o-nasab
ye  saare  vahm  the  izzat  to  dī  mohabbat  ne
mohabbat  aur  ibādat  meñ  farq  to  hai  naañ
so  chhīn  lī  hai  tirī  dostī  mohabbat  ne