Iftikhar Mughal

jamal-gah-e-taghazzul ki tab-o-tab teri yaad

Iftikhar Mughal

Muzaffarabad, Pakistan

1961
jamāl-gāh-e-taġhazzul kī tāb-o-tab tirī yaad
pa tañgnā.e-ġhazal meñ samā.e kab tirī yaad
kisī khañDar se guzartī havā kā nam! tirā ġham!!
shajar pe girtī huī barf kā tarab tirī yaad
tū mujh se mere zamānoñ kā pūchhtī hai to sun!
tirā junūñ, tirā saudā, tirī talab, tirī yaad
guzar-gahoñ ko ujaḌne nahīñ diyā tū ne
kabhī yahāñ se guzartī thī tuu, aur ab tirī yaad
ye qaid-e-umr to kaTtī nazar nahīñ ātī!
bas ik qarīna! tirā dhyān, ek Dhab! tirī yaad
ba-faiz-e-dard-e-mohabbat maiñ ḳhush nasab, maiñ najīb!
mirā qabīla tirā ġham, mirā nasab tirī yaad
ba-juz hikāyat-e-tū iiñ vajūd-e-chīz-e-nīst
maiñ kul kā kul tirā qissa maiñ sab kā sab tirī yaad
darīñ gumān-kada kullo-man-alaihā-fān
bas ik chhalāvā mirā ishq, ek chhab tirī yaad
bahar sabīl-e-hunar kā safar to jaarī hai
kabhī kuchh aur bahāna, kabhū sabab tirī yaad
Top Urdushayar.com