jamāl-gāh-e-taġhazzul  kī  tāb-o-tab  tirī  yaad
pa  tañgnā.e-ġhazal  meñ  samā.e  kab  tirī  yaad
kisī  khañDar  se  guzartī  havā  kā  nam!  tirā  ġham!!
shajar  pe  girtī  huī  barf  kā  tarab  tirī  yaad
tū  mujh  se  mere  zamānoñ  kā  pūchhtī  hai  to  sun!
tirā  junūñ,  tirā  saudā,  tirī  talab,  tirī  yaad
guzar-gahoñ  ko  ujaḌne  nahīñ  diyā  tū  ne
kabhī  yahāñ  se  guzartī  thī  tuu,  aur  ab  tirī  yaad
ye  qaid-e-umr  to  kaTtī  nazar  nahīñ  ātī!
bas  ik  qarīna!  tirā  dhyān,  ek  Dhab!  tirī  yaad
ba-faiz-e-dard-e-mohabbat  maiñ  ḳhush  nasab,  maiñ  najīb!
mirā  qabīla  tirā  ġham,  mirā  nasab  tirī  yaad
ba-juz  hikāyat-e-tū  iiñ  vajūd-e-chīz-e-nīst
maiñ  kul  kā  kul  tirā  qissa  maiñ  sab  kā  sab  tirī  yaad
darīñ  gumān-kada  kullo-man-alaihā-fān
bas  ik  chhalāvā  mirā  ishq,  ek  chhab  tirī  yaad
bahar  sabīl-e-hunar  kā  safar  to  jaarī  hai
kabhī  kuchh  aur  bahāna,  kabhū  sabab  tirī  yaad