savād-e-hijr  meñ  rakkhā  huā  diyā  huuñ  maiñ
tujhe  ḳhabar  nahīñ  kis  aag  meñ  jalā  huuñ  maiñ
maiñ  qarya  qarya  phirā  gard-bād  ban  ke  jahāñ
usī  zamīn  pe  parcham-sifat  uThā  huuñ  maiñ
abhī  chhuTī  nahīñ  jannat  kī  dhuul  paañv  se
hanūz  farsh-e-zamīñ  par  nayā  nayā  huuñ  maiñ
hazār  shukr  hai  ki  ḳhud  pe  ustuvār  thā  maiñ
hazār  shukr  ki  buniyād  par  girā  huuñ  maiñ
mirī  shaguft  ke  mausam  abhī  nahīñ  aa.e
kahīñ  kahīñ  pe  magar  phir  bhī  khil  gayā  huuñ  maiñ
mirī  shikast  bhī  hai  reḳht  'iftiḳhār-muġhal'
ki  yūñhī  banñe  bigaḌne  meñ  hī  banā  huuñ  maiñ