kisī  sabab  se  agar  boltā  nahīñ  huuñ  maiñ
to  yuuñ  nahīñ  ki  tujhe  sochtā  nahīñ  huuñ  maiñ
maiñ  tum  ko  ḳhud  se  judā  kar  ke  kis  tarah  dekhūñ
ki  maiñ  bhī  ''tum''  huuñ,  koī  dūsrā  nahīñ  huuñ  maiñ
to  ye  bhī  tai!  ki  bichhaḌ  kar  bhī  log  jiite  haiñ
maiñ  jī  rahā  huuñ!  agarche  jiyā  nahīñ  huuñ  maiñ
kisī  meñ  koī  baḌā-pan  mujhe  dikhā.ī  na  de
ḳhudā  kā  shukr  ki  itnā  baḌā  nahīñ  huuñ  maiñ
mirī  uThān  kī  har  iiñT  maiñ  ne  rakkhī  hai
maiñ  ḳhud  banā  huuñ!  banāyā  huā  nahīñ  huuñ  maiñ
yahāñ  jo  aa.egā  vo  ḳhud  ko  haar  jā.egā
qimār-ḳhāna-e-jāñ  meñ  nayā  nahīñ  huuñ  maiñ
mire  vajūd  ke  andar  mujhe  talāsh  na  kar
ki  is  makān  meñ  aksar  rahā  nahīñ  huuñ  maiñ
maiñ  ek  umr  se  ḳhud  ko  talāshtā  huuñ  magar
mujhe  yaqīn  nahīñ,  huuñ  bhī  yā  nahīñ  huuñ  maiñ
maiñ  ik  gumān  kā  imkāñ  huuñ  'iftiḳhār'-muġhal
ki  ho  to  saktā  huuñ  lekin  huā  nahīñ  huuñ  maiñ