aabid umar

jo bhi hai hasb-e-haal khinchenge

aabid umar

Kasur, Punjab, Pakistan

1977
jo bhī hai hasb-e-hāl khīñcheñge
us kā naqsha kamāl khīñcheñge
chuTkī kāTegī vo sharārat se
aur ham us ke baal khīñcheñge
tujh ko mujh se milāne vaale log
donoñ jānib se maal khīñcheñge
yaar lamhoñ meñ sāmne hogā
is tarah māh-o-sāl khīñcheñge
bharne vaalā hai ye mohabbat se
vaqt par apnā jaal khīñcheñge
koī cigarette mazā na degā to phir
capstan paal mall khīñcheñge
dene hoñge javāb āḳhir-kār
tujh ko mere savāl khīñcheñge
zaḳhm ġhurbat ke sab raqam kar ke
karb-e-qaht-ur-rijāl khīñcheñge
āḳhir aanā paḌegā mere liye
tujh ko mere ḳhayāl khīñcheñge
gar ye mumkin huā to apnī taraf
ek do ḳhush-ḳhisāl khīñcheñge
itne bigḌe haiñ Dar nahīñ baaqī
kyā baḌe apne gaal khīñcheñge
merī ġhurbat milegī virse meñ
is ko mere ayaal khīñcheñge
toḌ deñ Dor hijr kī 'ābid'
kab talak ye vabāl khīñcheñge
Top Urdushayar.com