Sardar Panchhi

aaj ke daur mein mohabbat kya

Sardar Panchhi

Punjab, Pakistan

1932
aaj ke daur meñ mohabbat kyā
kis ne jaanā hai is kī izzat kyā
ho sikandar yā koī shāh-jahāñ
kaam aa.ī kisī ke daulat kyā
qadr maañ kī jo kar nahīñ saktā
jaane kyā hotī hai ye jannat kyā
dil mirā māñgte ho kyuuñ āḳhir
karnā hai us kī bhī tijārat kyā
jis pe jaa.ez zakāt hai vaa.iz
aap ke paas hai vo daulat kyā
mol terā batā maiñ kyā de duuñ
jāntā hai to apnī qīmat kyā
chain hai amn hai ḳhushī hai yahāñ
hai ye daulat tirī badaulat kyā
pyaar kī aañkh hī nahīñ 'panchhī'
kaun dekhegā dil kī hālat kyā
Top Urdushayar.com