kyā  hai  is  dil  kā  haal  mat  pūchho
ham  se  nāzuk  savāl  mat  pūchho
jaan  jā.egā  kul  zamāna  sab
zindagī  hai  muhāl  mat  pūchho
shā.irī  aur  adab  kī  duniyā  meñ
kaun  hai  bā-kamāl  mat  pūchho
ham  ko  denā  subūt  hai  fan  kā
ḳhuuñ  meñ  hai  kyā  ubaal  mat  pūchho
shohrateñ  kis  tarah  kī  mere  liye
le  ke  aayā  ye  saal  mat  pūchho
vaqt  ik  din  badal  ke  rakh  degā
us  kī  har  ek  chaal  mat  pūchho
paḌh  rahā  huuñ  ġhazal  samajh  lenā
hai  ye  kis  kā  ḳhayāl  mat  pūchho
hubb-e-yārāñ  mirā  ḳhazāna  hai
us  meñ  kitnā  manāl  mat  pūchho
kaise  haiñ  bāl-o-par  ye  'panchhī'  ke
kaise  haiñ  ḳhadd-o-ḳhāl  mat  pūchho