aabid umar

ye kya paDi hai tujhe dil jalon mein baiThne ki

aabid umar

Kasur, Punjab, Pakistan

1977

ye kyā paḌī hai tujhe dil jaloñ meñ baiThne

ye umr to hai miyāñ dostoñ meñ baiThne

chhupā.ī jaatī nahīñ zardiyāñ so duur huuñ maiñ

vagarna hotī hai ḳhvāhish guloñ meñ baiThne

shumār merā bhī karte haiñ log in meñ magar

mirī majāl kahāñ shā.iroñ meñ baiThne

abhī na uñglī uThā mujh pe thoḌī mohlat de

tamīz siikh rahā huuñ baḌoñ meñ baiThne

mujhe badal ke koī aur banā diyā hai

ki intihā hai ye sūrat-garoñ meñ baiThne

dikhā rahe haiñ tavātur se ḳhāmiyāñ merī

bhagat rahā huuñ sazā ā.inoñ meñ baiThne

nahīñ majāl kisī ki muntashir kar de

banā chuke haiñ jo aadat safoñ meñ baiThne

ḳhazāne luTte raheñge ye ḳhālī hone tak

ujaaḌ degī ye aadat gharoñ meñ baiThne

ḳhudā atā kare ohda baḌā ġharīb ko aur

badal sake na vo ḳhū naukaroñ meñ baiThne

ḳhushāmadī nahīñ rakhtā hai apne kaam se kaam

to kyā paḌī hai tujhe afsaroñ meñ baiThne

ye dil scan karānā bahut zarūrī hai

ki ittilā.a hai tire dhaḌkanoñ meñ baiThne

hayāt sū-e-adam le ke rahī haiñ 'umar'

jo ādateñ haiñ ga.e mausamoñ meñ baiThne

Top Urdushayar.com