ḳhizāñ  kī  rut  meñ  gulāb  lahja  banā  ke  rakhnā  kamāl  ye  hai
havā  kī  zad  pe  diyā  jalānā  jalā  ke  rakhnā  kamāl  ye  hai
zarā  sī  laġhzish  pe  toḌ  dete  haiñ  sab  ta.alluq  zamāne  vaale
so  aise  vaisoñ  se  bhī  ta.alluq  banā  ke  rakhnā  kamāl  ye  hai
kisī  ko  denā  ye  mashvara  ki  vo  dukh  bichhaḌne  kā  bhuul  jaa.e
aur  aise  lamhe  meñ  apne  aañsū  chhupā  ke  rakhnā  kamāl  ye  hai
ḳhayāl  apnā  mizāj  apnā  pasand  apnī  kamāl  kyā  hai
jo  yaar  chāhe  vo  haal  apnā  banā  ke  rakhnā  kamāl  ye  hai
kisī  kī  rah  se  ḳhudā  kī  ḳhātir  uThā  ke  kāñTe  haTā  ke  patthar
phir  us  ke  aage  nigāh  apnī  jhukā  ke  rakhnā  kamāl  ye  hai
vo  jis  ko  dekhe  to  dukh  kā  lashkar  bhī  laḌkhaḌā.e  shikast  khaa.e
laboñ  pe  apne  vo  muskurāhaT  sajā  ke  rakhnā  kamāl  ye  hai