darīcha  aa.ine  par  khul  rahā  hai
mujhe  apne  se  bāhar  jhāñknā  hai
akelā  TuuTī  kashtī  par  khaḌā  huuñ
kinārā  duur  hotā  jā  rahā  hai
use  pahchānñā  āsāñ  nahīñ  jo
havā  kā  rañg  paanī  kā  maza  hai
kahīñ  andar  hī  TuuTe  hoñge  alfāz
abhī  tak  terā  lahja  chubh  rahā  hai
vo  apne  dostoñ  ke  darmiyāñ  hai
yā  mere  dushmanoñ  meñ  ghir  gayā  hai
kisī  ne  aa.ine  par  hoñT  rakh  kar
achānak  shauq  ko  bhaḌkā  diyā  hai
ḳhudā-e-lam-yazal  tere  liye  to
jo  honā  thā  vo  goyā  ho  chukā  hai
vo  kaise  āzmā.egā  kisī  ko
jo  pahle  hī  se  sab  kuchh  jāntā  hai