terī  taḳhlīq  tirā  rañg  havāla  thā  mirā
kaun  kahtā  hai  ki  andāz  nirālā  thā  mirā
maiñ  jahāñ  par  thā  vahīñ  tū  thā  mire  ā.īna-gar
terī  tasvīroñ  se  bharpūr  risāla  thā  mirā
chāhtā  thā  maiñ  duā  māñgtā  par  kyā  kartā
mere  hāthoñ  meñ  to  labrez  piyāla  thā  mirā
mujhe  pahle  ka.ī  sadiyoñ  kī  sazā  kāTnā  thī
manzil-e-sub.h  se  kuchh  duur  ujālā  thā  mirā
maiñ  use  bhuul  gayā  taaki  use  yaad  na  aa.uuñ
kitnā  mahbūb  mujhe  bhūlne  vaalā  thā  mirā
huuñ  tahī-dast  magar  minnat-e-kashkol  nahīñ
mohr-e-taskīn  mujhe  haath  kā  chhālā  thā  mirā
zahr  piite  hue  ḳhāmosh  hī  rahnā  thā  mujhe
shāḳh-e-taslīm  se  gul-posh  piyāla  thā  mirā
dūsrī  zindagī  dene  kī  zarūrat  hī  na  thī
har  na.ī  shakl  kī  sūrat  meñ  izāla  thā  mirā
ye  jo  duniyā  meñ  sar-e-mauj-e-havā  likkhā  hai
mere  yāroñ  ne  kabhī  naam  uchhālā  thā  mirā