aao  phir  mil  jaa.eñ  sab  bāteñ  purānī  chhoḌ  kar
jā  nahīñ  sakte  kahīñ  dariyā  ravānī  chhoḌ  kar
vo  mire  kaase  meñ  yādeñ  chhoḌ  kar  yuuñ  chal  diyā
jis  tarah  alfāz  jaate  hoñ  ma.ānī  chhoḌ  kar
tum  mire  dil  se  ga.e  ho  to  nigāhoñ  se  bhī  jaao
phir  vahāñ  Thahrā  nahīñ  karte  nishānī  chhoḌ  kar
ab  sunā  hai  aam  shahrī  kī  tarah  phirte  ho  tum
kyā  milā  hai  mere  dil  kī  hukmarānī  chhoḌ  kar
bas  abhī  tūfān-e-ġham  kā  tazkira  aayā  hī  thā
sab  gharoñ  ko  chal  diye  merī  kahānī  chhoḌ  kar
is  tarah  mere  qabīle  meñ  kabhī  hotā  nahīñ
kaise  jā.ūñ  tere  ġham  kī  mezbānī  chhoḌ  kar
ye  kalām-ul-lāh  kab  hai  jo  sadā  baaqī  rahe
dār-e-fānī  se  chale  haiñ  naqsh-e-fānī  chhoḌ  kar