jab  āftāb  se  chehrā  chhupā  rahī  thī  havā
nazar  bachā  ke  tire  shahr  jā  rahī  thī  havā
maiñ  us  ko  rotā  huā  dekhtā  rahā  chup-chāp
chamelī  ghaas  pe  Tap  Tap  girā  rahī  thī  havā
vo  maañ  hai  āb-e-ravāñ  kī  tabhī  samundar  ko
uThā  ke  god  meñ  jhūlā  jhulā  rahī  thī  havā
vo  ḳhvāb  thā  yā  safar  aane  vaale  mausam  kā
marī  paḌī  thī  zamīñ  zahr  khā  rahī  thī  havā
na-jāne  dosh  pe  kis  ko  uThā  ke  raat  ga.e
tabīb-e-shahr  kā  dar  khaTkhaTā  rahī  thī  havā
maiñ  garm-o-sard  ko  taqdīr  samjhe  baiThā  rahā
nizām-e-mausam-e-hastī  chalā  rahī  thī  havā
tamām  umar  maiñ  samjhā  havā  muḳhālif  hai
mire  charāġh  meñ  ḳhud  ko  jalā  rahī  thī  havā